Mahakumbh Mela sirf ek mela nahi — ek maha utsav hai jahan crore log, sadhus aur Akhaade ek saath spiritual energy lekar aate hain. Aaj ke time mein Kinnar Akhada ne bhi apni ek alag pehchaan banayi hai, aur Mahamandaleshwar pad ki kahani bhi kafi inspiring hai.
Toh aayein, jaante hain Kinnar Akhada ka itihas, Mahamandaleshwar pad ka importance aur 2025 ke Mahakumbh se juda sab kuch — is blog ke through!
Mahakumbh Mela Bharat ke itihaas ka sirf ek dharmik karyakram nahi, balki ek adhyatmik safar hai jo har 12 saal baad char pavitra nagarion mein aayojit hota hai — Prayagraj, Haridwar, Ujjain aur Nashik.
Mahakumbh ka sabse bada vishesh akarshan hota hai ‘Shahi Snan’ — jisme Bharat ke sabhi Akhado ke saints, sadhus, yogi aur Mahamandaleshwar apne apne dhwaj ke saath bade jalus ke roop mein nikalte hain aur pavitra nadion mein snan karte hain.
Akhada ek aisi dharmik sanstha hai jo shastrarth, tapasya aur yudh kala ke madhyam se Hindu dharm ko jeevit rakhti hai. Akhado ki parampara ki shuruaat Adi Shankaracharya ne ki thi.
Har Akhada ke apne Mahamandaleshwar hote hain — mukhya guru aur neta. Tapasya, seva aur dharm ke gyaan se hi yeh pad prapt hota hai.
2015 mein Laxmi Narayan Tripathi ji ne "Kinnar Akhada" ki sthapna ki. 2016 mein Ujjain Kumbh mein aur 2019 Prayagraj mein Juna Akhada ke saath shahi snan mein bhag liya.
Kinnar Akhada ne Sanatan Dharma ke deep spiritual roots se judkar Kinnar community ko ek pehchaan di.
Yeh dharmik vyavastha ki neev hai jisme koi ling, jaati ya pehchaan ka bhed-bhav nahi hai. Ardhanarishwar — Shiv aur Shakti ke roop ka pratinidhitva karta hai Kinnar Akhada.
Shankaracharya ke baad Mahamandaleshwar ka pad Akhada parampara mein second highest authority hai. Yeh dharmik aur administrative leadership ka symbol hai.
- Spiritual guidance
- Gahan tapasya aur yogic gyaan
Mamta Kulkarni ko Mahamandaleshwar banaya gaya lekin backlash ke baad unhone pad chhod diya. Rishi Ajay Das ne unhe aur Laxmi Narayan Tripathi ji ko Akhada se expel kar diya.
Agar aap Mahamandaleshwar pad aur Kinnar Akhade ki asli kahani aur journey ko aur gehraai se samajhna chahte hain, toh zarur dekhiye hamara latest Talk N Knock podcast — with Mahamandaleshwar Dr. Vaishnavi Jagdamba Nandgiri ji!
Talk n Knock Team