Maa Kali ki 64 Yogini Sadhana: Tantra, Shakti Aur Bhakti

SpiritualityTalk n Knock Team
Maa Kali ki 64 Yogini Sadhana: Tantra, Shakti Aur Bhakti

Maa Kali ki 64 Yogini Sadhana :Tantra, Shakti Aur Bhakti

Chausath Yogini Sadhana: Maa Kali ke 64 Roop – Tantra, Shakti aur Bhakti ka Rahasya
Maa Kali ke 64 roop – Chausath Yoginiyaan – Tantra aur Bhakti ka ek rahasya hai, jiska zikr purano se lekar gahan sadhanao tak hota hai.Yeh sirf Devi ke roop nahi, balki Shakti ke zinda pramaan hain – jo sadhak ko bhay ke paar le jaakar siddhi ki or le jaati hain.
Iss blog mein, hum janenge in Yoginiyon ka asal arth, unka Maa Kali se sambandh, aur Shri Abhishek Gaur Ji ke alaukik anubhavon se juda hua satya.


Chausath Yogini: Maa Kali ke Adbhut Roopon ka Rahasya

Chausath Yogini ka ullekh kai prachin granthon jaise Brahmavaivarta Purana mein milta hai. Yeh mana jata hai ki yeh sabhi Yoginiyaan Maa Kali ke alag-alag roop hain, jo unhone दैत्य घोर ke vadh ke samay dharan kiye the. Kuchh mat kehte hain ki yeh Maa Parvati ki sakhiyan bhi thi.
Lekin yahaan ek aur gahra arth bhi hai — ek purush 32 kalaon se yukt hota hai, ek stri bhi 32 kalaon se — dono milke banate hain 64 yogik shaktiyaan, jo Chausath Yogini ke roop mein prakat hoti hain. Inka sambandh Shiv aur Shakti ke purn milan se hai.
Har Yogini Tantra ke kisi na kisi tattva ki adhishtatri hoti hai — yaani inki upasana se 64 tantrik vidyaayein siddh ho sakti hain.


Chausath Yoginiyon ke Naam aur Pramukh Mandir

Chausath Yoginiyon ke naam is prakar hain –

Bahuroop, Tara, Narmada, Yamuna, Shanti, Varuni, Kshemankari, Aindri, Varahi, Ranveera, Vanar-Mukhi, Vaishnavi, Kalaratri, Vaidyarupa, Charchika, Betali, Chhinnamastika, Vrishvahan, Jwala Kamini, Ghatwar, Karakali, Saraswati, Birupa, Kauveri, Bhaluka, Narasimhi, Birja, Vikatana, Mahalaxmi, Kaumari, Mahamaya, Rati, Karkari, Sarpashya, Yakshini, Vinayaki, Vindhyavasini, Veer Kumari, Maheshwari, Ambika, Kamini, Ghatabari, Stuti, Kali, Uma, Narayani, Samudra, Brahmini, Jwala Mukhi, Agneyi, Aditi, Chandrakanti, Vayu Vega, Chamunda, Murti, Ganga, Dhumavati, Gandhar, Sarv Mangala, Ajita, Suryaputri, Vayu Veena, Aghor, aur Bhadrakali.
Bharat mein in yoginiyon ke kai bade mandir hain:
Odisha mein Bhubaneswar ke pass Hirapur aur Bolangir ke pass Ranipur mein. Madhya Pradesh mein Morena jile ke Thana Rithorakalan mein ek mandir hai, jise ‘Ikanteshwar Mahadev Mandir’ bhi kehte hain. Khajuraho mein bhi ek prachin mandir hai jo 875-900 AD mein bana tha, jo Khajuraho ke paschimi mandiron ke samuuh mein aata hai. Madhya Pradesh ke Jabalpur ke pass Bhedaghat aur Gwalior ke pass Mitawali mein bhi yogini mandir sthit hain.


Chausath Yoginiyon ka Sanrakshan: Maa Kali aur Bhairav ke Saath

Shri Abhishek Gaur Ji kehte hain ki jab koi sadhak Maa Kali aur Bhairav ke path par chalta hai, toh Chausath Yoginiyon ka raksha chakra uske charon aur ban jata hai. Har disha mein ek Yogini hoti hai, jiske saath hoti hai ek aur Yogini. Yani 8 directions × 8 Yogini = 64 divine protectors.
Yeh sadhna psychic disturbance, astral attack, aur negativity se raksha karti hai. Sadhak ke man aur urja santulit hote hain. Chausath Yoginiyan kisi bhi tamsik urja ko pas nahi karti – yeh shuddh sadhana ke madhyam se hi prasann hoti hain.


Das Mahavidya aur Tantra Vidya ka Gyaan

Das Mahavidya – Sanatan ki 10 pramukh devi roop – tantra ka mool tattva hain. Inki sadhna se Brahm Gyaan, urja jagran aur mukti prapt hoti hai. Yeh sabhi Deviyaan bhi yoginiyon ke samuh ka hissa hoti hain.
Shri Abhishek Gaur Ji ke anusar, Tantra koi jadutona nahi, balki aatma aur brahma ke beech ka pul hai. Ismein kriyaayein hain jo man, mastishk aur urja ke shuddhi ke liye hoti hain.


Tantra, Kapaal Kriya, aur Panch Munda Sadhna

Kapaal Kriya:

Ek aisi advanced kriya jo mastishk aur man ke purification ke liye hoti hai. Yeh sirf spiritually tayar vyakti hi kar sakte hain.

Panch Munda Sadhna:

Yeh shamshan mein ki jaane wali sadhna hai, jismein sadhak apne bhay ko samapt karta hai aur antar urja jagata hai.

Brahma Dosh Nivaran:

Kuch log janm se hi ek dosh le kar aate hain — jise Tantra dwara hi mitaya ja sakta hai.

Bhoot Pret Sadhna: Bhay Se Aage Badhne Ka Raasta

Talk n Knock ke iss episode mein ek khas section tha jahan unhone bataya
- Bhoot Pret kaun bante hain?
- Unki sadhna ka uddeshya kya hota hai?
- Kya yeh khatarnak hai ya mukti ka ek madhyam?
Abhishek Ji ke anusaar, yeh sadhna sahasi aur antar-drishti wale sadhak ke liye hoti hai — aur iska uddeshya hota hai atmaon ki mukti aur unki urja ka samarpan.

Beej Mantra aur Katha: Sanatan ke Gyaan ka Mool

Katha sirf kahani nahi — ek spiritual updesh hai. Katha hume jeevan ko jeena sikhati hai. Sanatan Dharm mein Kathayein manushya ko spiritual marg dikhati hain. Beej mantron ka uchcharan ek vibration create ek aisi sound vibration jo sadhak ke andar ke andhkaar ko mita kar chetna ka darwaza kholti hai aur sadhak ko negativity se door karti hai.

Maa Kali ke Adesh se Jeevan ko Tantra aur Seva mein Arpit karne wale Yogiraj: Shri Abhishek Gaur Ji ki kahani

Chausath Yoginiyon ki yeh kahani jahan khatam hoti hai, wahin se shuru hoti hai Shri Abhishek Gaur Ji ka jeevan. Unka bachpan Jassowala Dhaam mein beetaa — ek aisi jagah jahan Maa Kali aur Yoginiyon ka aura swatah mehsus hota hai.
Unhone maut ki bhavishyavaani ko jeevit roop mein jhela, lekin Maa Kali aur Yoginiyon ke ashirwaad se usse paar paaye. Unka kehna hai:
"Jo Yoginiyon ki urja ko samajh gaya, wo jeevan ke har bhay ko paar kar gaya."
Unhone apni sadhnaayein Jassowala Dhaam mein ki – wahi Dhaam jahan 2024 mein ek alaukik ghatna ghati thi, jiska scientific explanation kisi ke paas nahi tha. Yeh jagah unke liye tantra aur bhakti ka jivit kendra hai.

Yeh blog sirf ek jhalak hai us gyaan ki jo Shri Abhishek Gaur Ji ne TalknKnock ke madhyam se baanta. Chausath Yoginiyaan – Maa Kali ke shaktishaali roop, jo tantra aur sadhna ka adhaar hain. Unka samarpan, unki urja, aur unka sanrakshan, tantra, sadhana aur Sanatan gyaan ek sadhak ko divya bana deta hai. Inke rahasyon ko aur gehra samajhne ke liye, zaroor dekhiye:


Frequently Asked Questions

Maa Kali ka saral mantra hai – “ॐ ह्रीं श्रीं क्रीं परमेश्वरी कालिके स्वाहा”. Mahakali ki prasannata ke liye unki photo ya pratima ke samne mantra jaap karna chahiye. Poorn shraddha se Maa Kali ki upasana karne par samast manokamnaayein puri ho sakti hain.
Maa Kali Tantra ki mool Shakti hain, aur 64 Yoginiyan unki roopantarit shaktiyaan maani jaati hain. Inki sadhana se sadhak ko Bhairav aur Chausath Yoginiyon ka sanrakshan milta hai, jo spiritual protection aur urja pradhaan karta hai.
64 Yogini Yantra ek shaktishaali adhyatmik upkaran hai, jo 1,100 pavitra Yogini mantron se urjaanit hota hai. Yeh yantra 64 Yoginiyon ki divya urja ko pravahit karne mein madad karta hai, jisse apaar adhyatmik aur bhautik laabh milte hain. Iska upyog alaukik shaktiyon ko aakarshit karne, aashirvaad prapt karne aur kisi ke jeevan mein positivity aur safalta laane ke liye kiya jata hai.
Kala Bhairava, Bhagwan Shiv ka ek krodh roop hai. Aisa mana jaata hai ki kul 64 Bhairava hote hain, jo 8 samoohon mein vibhajit hote hain. In aath Bhairavaon ko "Ashta Bhairava" kaha jata hai, jo apni patniyon aur bahano ke saath aath dishaon ki raksha aur niyantran karte hain.
Panch Munda Sadhna ek tantrik kriya hai jo shamshan mein ki jaati hai. Iska uddeshya bhay ko samapt karna aur sadhak mein antarshakti jagrut karna hota hai. Ye sadhna advanced spiritual seekers ke liye hoti hai.
Bhoot aur pret ki sadhana ka uddeshya un atmaon ki mukti aur unki urja ko samajhna hota hai. Jaise Shri Abhishek Gaur Ji ne bataya, ye sadhna tabhi ki jaati hai jab sadhak antar drishti aur sahas se sampann ho. Ye khatarnak nahi, lekin gambhir sadhna hai.
Kapaal Kriya ek advanced tantra kriya hai jo man aur mastishk ki purification ke liye ki jaati hai. Ye kriya sirf trained aur spiritually ready vyakti hi kar sakte hain.
Das Mahavidya Sanatan Dharm ki 10 devi shaktiyaan hain jinki alag-alag roopon mein upasna ki jaati hain. Tantra mein inki sadhana se sadhak ko gyaan, urja aur mukti ki prapti hoti hai.
Tantra Vidya ek aisi prakriya hai jo man aur atma ko bandhan se mukt karne, sharir aur man ko shuddh karne aur Ishwar ka anubhav karne mein madad karti hai. Yeh bhautik aur aadhyatmik jeevan ki samasyaon ka samadhan dhoondhne aur Ishwar ki prapti ka prayas karne mein bhi sahayak hoti hai.
Beej mantra ek sound vibration hota hai jo sadhak ke chetna aur urja ko jagrut karta hai. Iska uchcharan negativity door karta hai aur spiritual upliftment mein madad karta hai.

About the Author

Talk n Knock Team