India ek bahubhashi desh hai jahan pe language sirf communication ka zariya nahi, balki identity, tradition, aur cultural pride ka symbol hai. Lekin kabhi-kabhi ye linguistic diversity controversy ka reason bhi ban jaati hai—especially jab baat ho Hindi ko national language banane ya har jagah compulsory karne ki.
Maharashtra mein April–June 2025 ke beech language politics ne ek nayi roop liya:
- Maharashtra Sarkar ne GR (Government Resolution) jari karke Class 1 se 5 tak Hindi ko third language banane ki baat ki.
Ye clearly dikhata hai ki maamla sirf education ka nahi, cultural respect and autonomy ka bhi hai.
Language conflicts India mein koi nayi baat nahi hai, lekin 2025 mein inki intensity aur visibility dono badh gayi hai. Local pride, migration, aur political propaganda ke mix ne desh ke alag-alag hisson mein bhasha ko ek controversial mudda bana diya hai. Yahaan kuch recent aur viral incidents hain jo bhasha vivaad ki gehraayi ko dikhate hain.
“Agar Mumbai mein rehna hai, toh Marathi bolna seekho. Nahi toh yahan se chale jao!”
“Marathi hi bolni chahiye, varna consequences bhugatne honge.”
“Marathi bolo, nahi toh naukri chhodo.”
“Welcome Tamil, Stop Hindi Imposition”
“Jis state mein rehte ho, uski bhasha seekhni chahiye. Ye respect ka part hai.”
Petition mein ye bhi demand kiya gaya ki:
“Hindi, Telugu, Urdu – sab ek Bharat ke roop hain”
Hindi sirf Rajbhasha hai, Rashtrabhasha nahi. Articles 343–351 kehta hai:
Issue | Challenge | Suggested Solution |
Hindi as National Language | Cultural marginalization | Hindi ko optional rakhna chahiye, not forced. |
Marathi-Hindi Debate | Regional pride hurt | GRs issue karne se pehle public consultation zaroori hai. |
South Indian Protest | Unequal language promotion | NEP ke rules ko state-wise flexible banaya jaye. |
Education & Language | Early learning confusion | Primary education local bhasha mein ho, dusri bhasha later add ho. |
India ek aisa desh hai jahan har 100 km mein bhasha badal jaati hai. Hindi apne aap mein ek samruddh bhasha hai, lekin ise dusri bhashayon par thopna cultural respect aur linguistic freedom ke khilaf hoga.
Hindi seekhna galat nahi—lekin Hindi ko force karna galat hai.
Ek samriddh Bharat wahi banega jahan Tamil, Telugu, Marathi, Kannada, aur Hindi sab ek saath jeeyein.
Zabaan ka vivaad tabhi khatam hoga jab language choice banegi, duty nahi.
Talk n Knock Team